lafz jab koi na hath aaya maani ke liye kya maze hum ne zaban-e-be-zabani ke liye ye do-raha hai chalo tum rang-o-bu ki khoj mein hum chale sahra-e-dil ki baghbani ke liye zindagi apni thi goya lamha-e-furqat ka tul kuchh maze hum ne bhi umr-e-jawedani ke liye main bhala thandi hawa se kya ulajhta chup raha phul ki khush-bu bahut thi sargirani ke liye tut padti thin ghataen jin ki aankhen dekh kar wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye rakh armanon ki gili lakdiyan ehsas ki hum ko ye saman mile shoala-bayani ke liye shama ho fanus se bahar to gul ho jaegi bandish-e-alfaz mat todo maani ke liye do kinare hon to sail-e-znidagi dariya bane ek had lazim hai pani ki rawani ke liye aaj kyun chup chup ho 'baqar' tum kabhi mashhur the doston yaron mein apni khush-bayani ke liye