lafz ki buhtat itni naqd o fan mein aa gai maskh ho kar surat-e-mani sukhan mein aa gai nisf aankhen khol kar hi us ne dekha tha mujhe chalne phirne ki sakat mafluj tan mein aa gai ab na wo ahbab zinda hain na rasm-ul-khat wahan ruth kar urdu to dehli se dakan mein aa gai us ke chehre ka mujhe mardana-pan achchha laga chashni namkin si sare badan mein aa gai kyun sapera-pan tere nainon mein paida ho gaya is qadar shokhi kidhar se bankpan mein aa gai ek bosa hont par phaila tabassum ban gaya jo hararat thi meri us ke badan mein aa gai ek wahshi sinf se hum ne sharafat sikh li panj-tan ki lau ghazal ki anjuman mein aa gai khuld ki taswir 'kawish' hu-ba-hu kashmir thi lash us ki pairahan se khud kafan mein aa gai