lafz ki tah se ye mafhum talak jati hai fikr ki aag hai tahrir ka dam khati hai kuchh na kahte hue rakhta hai asar kahne ka in hawaon ka lab-o-lahja tilsmati hai mujh ko lai hai kai bar tere kuche tak khwab-zaron se jo ek rah guzar jati hai khud ko aaina bana rakkha hai jab se mein ne zindagi samne aate hue sharmati hai rang lai meri aankhon ki jalan ai 'jami' kucha-e-shab se ujalon ki hawa aati hai