lafz mein taswir mein patthar mein qaid

By ahmad-sozOctober 23, 2020
lafz mein taswir mein patthar mein qaid
sab ne us ko kar diya manzar mein qaid
dil to bechaara yun hi badnam hai
jo bhi hai wo sab ka sab hai sar mein qaid


sirf achchha hona hi sab kuchh nahin
qadr hai insan ki ab zar mein qaid
aaj ka din shar-pasandon ka hai phir
shahr sara ho gaya hai ghar mein qaid


aasman ki wusaten karwa mujhe
aur kab tak main rahun paikar main qaid
mere sheron mein bhi hain tah-dariyan
jaise khushbu rahti hai ambar mein qaid


23491 viewsghazalEnglish