lafz nagin ki tarah daste hain goyai mein khamushi zahr mila deti hai tanhai mein dil ki baaton ko zaban par nahin aane dete kitni zanjiren nazar aati hain yakjai mein thahre pani mein gira sang rawani koi chahiye taza hua ruh ki gahrai mein kya nazar aaega mausam ke nashe mein tujh ko kitne patte hain ki ud jate hain purwai mein shab se pahle hi koi chand nikalo warna dil bhi niklega andheron ki pazirai mein khul gai aankh to khauf aane laga hai khud se gham na ho jaen kahin apni hi pahnai mein kis ke nazare ki khwahish mein giraftar hue zakhm aankhon ke mile dil ki masihai mein dub kar phir koi ubhra na safina gham ka kitne tufan hain tere jism ki ranai mein mujh se puchho ki bayaban-e-safar kaisa hai umr guzri hai meri baadiya-paimai mein hum bhi mar jaenge jine ki hawas mein aakhir kaam aaenge usi marka-arai mein hansne walon mein kai apne bhi shamil the 'nadim' shakl pahchani gai apni bhi ruswai mein