lag raha hai aaj mere dil mein aisa shor hai
By baharunnisa-baharOctober 24, 2023
lag raha hai aaj mere dil mein aisa shor hai
har taraf baadal hain kale aur barpa shor hai
zehn ke khali darichon se koi jhanka ki ab
panw rakhti hun uthati hun to uthta shor hai
gham lagi jab bantne to dil yahi kahne laga
raaz ifsha na karo duniya mein barpa shor hai
dil samundar aur pyasa saniha kuchh hai 'ajab
khwahishon ki pyas dekho hashr jaisa shor hai
hai khushi hi ibtida aur gham hai is ki intiha
kaisa phir karb-e-musalsal phir ye kaisa shor hai
main hun chehra waqt ka aur hausle dekho zara
habs hai chaaron taraf aur barishon ka shor hai
sab parinde bach gae hain mausamon ki gard se
ab 'bahaar'-e-gulsitan aai ye uthta shor hai

65286 viewsghazal • English