lag raha tha yahin kahin ho tum
By aamir-azherOctober 4, 2024
lag raha tha yahin kahin ho tum
kash hote magar nahin ho tum
sirf barish mein wasl mumkin hai
aasman main hun aur zamin ho tum
dur se bhi ho dil-nashin lekin
samne kis qadar hasin ho tum
kab se mujh ko nahin mile dekho
yar kya zer-e-astin ho tum
jis jagah tha main phir wahin hun main
jis jagah tha main kya wahin ho tum
kash hote magar nahin ho tum
sirf barish mein wasl mumkin hai
aasman main hun aur zamin ho tum
dur se bhi ho dil-nashin lekin
samne kis qadar hasin ho tum
kab se mujh ko nahin mile dekho
yar kya zer-e-astin ho tum
jis jagah tha main phir wahin hun main
jis jagah tha main kya wahin ho tum
61233 viewsghazal • English