laga hai rog koi to jaDon mein

By chand-kakralviJanuary 19, 2024
laga hai rog koi to jadon mein
udasi kyon hai warna tahniyon mein
bhale hi barf ki chadar udha do
jalan phir bhi rahegi aablon mein


hawas ki ungliyon par aa gae hain
the jitne rang titli ke paron mein
bahut nuqsan kar deta hai pani
thahar jae agar kachche gharon mein


tasalli mil gai pyasi zamin ko
hua takraw jab bhi baadalon mein
tere naqsh-e-qadam ko chhod kar hum
ulajh kar rah gae hain raston mein


66678 viewsghazalEnglish