laga ke aai thi sautan KHizab id ke din

By sajid-sajni-lakhnawiJanuary 4, 2024
laga ke aai thi sautan khizab 'id ke din
mui pe tut pada tha shabab 'id ke din
udhar wo husn mein tha intikhab 'id ke din
idhar na tha koi mera jawab 'id ke din


wo chand raat ko mujh se bigad ke chalte bane
bikhar ke rah gae rangin khwab 'id ke din
main kya bataun ki kya hashr kar raha tha bapa
nigodi saut ka uthta shabab 'id ke din


wo ab bhi mere dupatte ki tah mein rakkha hai
jo us ne pesh kiya tha gulab 'id ke din
30644 viewsghazalEnglish