laga majnun ko zahr-e-ishq kya aab-e-baqa ho kar

By sartaj-alam-abidiNovember 17, 2020
laga majnun ko zahr-e-ishq kya aab-e-baqa ho kar
wo zinda ho gaya goya mohabbat mein fana ho kar
bane the mehman aaghaz-e-ulfat mein mere dil mein
makin-e-mustaqil ab ban gae shirin-ada ho kar


mitate jo rahe mujh ko mujassam zulm ban ban kar
unhin ke dil pe main ubhra kiya naqsh-e-wafa ho kar
unhin ko jalwa-rezi ban gai thi chandni gham ki
ufuq pe dil ki wo chamka kiye mah-e-aza ho kar


kuchh aisi thi kashish mujh mein khiraj-e-husn bhi paya
hua mashhur main ishq-o-mohabbat ka khuda ho kar
thikana yaad-e-mazi ka agar hai to mera dil hai
kahan par jaengi 'sartaj' wo dil se juda ho kar


69418 viewsghazalEnglish