laga tha yun kisi unchi uDan se utre

laga tha yun kisi unchi udan se utre
tasawwuraat ke jab la-makan se utre

shajar ki banhon mein soi hawa ko na chhedo
thakan ka bojh to kuchh jism-o-jaan se utre

main dekh to lun zamane ke tewaron ka rang
wo thodi der ko hi mere dhyan se utre

chamak ke khushiyon ka suraj bhi thak gaya aakhir
udasiyon ke na sae makan se utre

ana yun ghat mein baithi rahegi kitni der
kabhi to mere badan ke machan se utre

bulandiyon ki masafat ka dam nahin mujh mein
mere liye koi chashma chatan se utre

gulab-rut mein bhi itni udasiyan 'farhat'
tere liye to iram aasman se utre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close