lagi hai bhid bada mai-kade ka nam bhi hai kuchh is mein khub-e-rindan-e-tishna-kaam bhi hai junun-e-shauq ne dil ko kiya tabah magar kuchh is mein tere taghaful ka ehtimam bhi hai kitab-e-zist hai yaksar hikayat-e-gham-e-dil hikayat-e-gham-e-dil harf-e-na-tamam bhi hai sukun-e-ahl-e-kharabaat-e-ishq kya kahiye ruki ruki si yahan umr-e-tez-gam bhi hai butan-e-shahr hum ahl-e-wafa se hain be-zar butan-e-shahr ko ahl-e-wafa se kaam bhi hai wo shakhs apni jagah hai muraqqa-e-tahzib ye aur baat hai ki qatil usi ka nam bhi hai charagh-e-subh ki afsurdagi nahin tanha kahin qarib yahin aaftab-e-sham bhi hai dar-e-sanam pa ruke hain magar ba-zer-e-qadam hazar silsila-e-gardish-e-mudam bhi hai jo khalwaton mein sukut-ashna raha sadiyon wahi 'rawish' se sar-e-bazm ham-kalam bhi hai