lagi hai choT jo dil mein ubhar aai to kya hoga

By iqbal-bhartiJune 30, 2021
lagi hai chot jo dil mein ubhar aai to kya hoga
mohabbat mein hui jo un ki ruswai to kya hoga
hamari be-kasi par aa rahi hai kyon hansi tum ko
tumhaari is hansi se aankh bhar aai to kya hoga


kiye leta hun tauba tere kahne se main ai waiz
magar chaaron taraf kali ghata chhai to kya hoga
samajh kar sang-dil jis ko nigahen pher lin main ne
agar qismat usi patthar se takrai to kya hoga


munasib hai tumhein 'iqbaal' un se dur hi rahna
koi surat judai ki nikal aai to kya hoga
42616 viewsghazalEnglish