lagi jo der mujhe aapko manane mein
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
lagi jo der mujhe aap ko manane mein
jhijhak raha tha main apne khilaf jaane mein
tamam 'umr yahi soch kar raha khamosh
laga hai koi mera sabr aazmane mein
nahin hai yun to kisi kaam ka dil-e-nakaam
laga hua hun ise kaam ka banane mein
wahan khule mein na uthta tha aasman ka bojh
yahan surang banata hun qaid-khane mein
jo sach kahen to hamein koi gham nahin lekin
'ajib sukh hai udasi ke git gane mein

14189 viewsghazal • English