lagta hai jaise pyar mein shiddat badal gai
By abdullah-minhaj-khanMay 18, 2024
lagta hai jaise pyar mein shiddat badal gai
pahle thi jaisi meri wo haalat badal gai
jo roz khul ke sab ko khilata tha raat din
aai khizan to us ki bhi rangat badal gai
bahne laga wo bahti hawaon ke sath sath
wo bad-nasib jis ki mohabbat badal gai
aisi chali thi zulm ki aandhi har ek taraf
jo samne thi sab ke haqiqat badal gai
hakim ki maslahat ka zara sath kya mila
jo the sharif un ki sharafat badal gai
wo pahle hum ko khub satata tha phone par
badla wo jab to us ki shikayat badal gai
wo shahr jis mein rahte the 'minhaj' hum kabhi
chhoda jo hum ne us ki nazakat badal gai

10410 viewsghazal • English