lagte hain nit jo khuban sharmane bawle hain hum log wahshi khabti diwane bawle hain ye sehr kya kiya hai baalon ki darhami ne jo us pari par apne begane bawle hain ji jhonkta hai koi aatish mein nahaq apna jalte hain shama par jo parwane bawle hain ismat ka apni us ko jab aaphi gham na howe lagte hain hum jo nahaq gham khane bawle hain us mai ka ek qatra surakh-e-dil kare hai bhar bhar jo hum piyen hain paimane bawle hain gardish se putliyon ki sar-gashta hai zamana masti se us nigah ki mai-khane bawle hain jate hain us gali mein ladkon ko sath le kar myan 'mushafi' bhi yaro kya syane bawle hain