lahakti lahron mein jaan hai kinare zinda hain wajud-e-ab ke sab istiare zinda hain wo hijraton ki hikayat tumhein sunaenge jinhon ne sar se ye tufan guzare zinda hain hamare karb kitabon mein hain abhi mahfuz wo sare safhe wo sab goshware zinda hain azal se jabr o sadaqat ki jang jari hai abhi talak nahin mazlum haare zinda hain majalis-e-sitam-ijad ka nishan nahin mohabbaton ke abhi tak idare zinda hain jo tere gham mein jale hain wo phir bujhe hi nahin jab in ki rakh kuredo sharare zinda hain abhi tumhaare tadapne ke din nahin aae abhi to khair se khadim tumhaare zinda hain hum apne jine ka ab kya jawaz pesh karen ki ab na hum na zamane hamare zinda hain har ek shakhs ko is baat ka shuur nahin jo 'ram' haq pe mare hain wo sare zinda hain