lahja wahi guftugu wahi hai

By m-i-zaahirSeptember 23, 2023
lahja wahi guftugu wahi hai
surat kitni badal gai hai
ghar ki surat bujhi bujhi hai
lekin khidki khuli hui hai


tanhai ka safar na puchho
sannate ki sada suni hai
khali khali shajar se jangal
ab ke barish kahan gai hai


'zahir' manzar badal na jae
dekho kaisi hawa chali hai
52244 viewsghazalEnglish