lahra ke jhum jhum ke la muskura ke la phulon ke ras mein chand ki kirnen mila ke la kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin ja mai-kade se meri jawani utha ke la saghar-shikan hai shaikh-e-bala-nosh ki nazar shishe ko zer-e-daman-e-rangin chhupa ke la kyun ja rahi hai ruth ke rangini-e-bahaar ja ek martaba use phir warghala ke la dekhi nahin hai tu ne kabhi zindagi ki lahr achchha to ja 'adam' ki surahi utha ke la
Please share if you liked this!!!