lahu ke sath tabiat mein sansanati phire

By arshad-malikOctober 27, 2020
lahu ke sath tabiat mein sansanati phire
ye sham sham-e-ghazal si hai gungunati phire
dhadak raha hai jo pahlu mein ye charagh bahut
bala se raat jo aae to raat aati phire


jawan dinon ki hawa hai chale chale hi chale
mere wajud mein thahre ki aati jati phire
ghurub-e-sham to din bhar ke fasle par hai
kiran tulu ki utri hai jagmagati phire


gham-e-hayat nasha hai hayat lambi kasak
lahu mein thokaren khae ki dagmagati phire
lo tai hua ki khala mein hai mustaqar apna
zamin jaise pukare jahan bulati phire


64568 viewsghazalEnglish