lahu ki mauj mein jina mere hisse mein aaya hai

By kahkashan-tabassumApril 21, 2021
lahu ki mauj mein jina mere hisse mein aaya hai
bhanwar banta hua dariya mere hisse mein aaya hai
sunahri ahd-e-mazi ki riwayat hum se thi lekin
faqat dimak laga panna mere hisse mein aaya hai


parinde aashiyana chhod ke kis samt ja nikle
dukhon ka ek shajar tanha mere hisse mein aaya hai
rupahli chandni us ko amir-e-shahr ki bakhshish
sulagti dhup ka sahra mere hisse mein aaya hai


dariche khol ke bhi rut ka andaza na kar paun
ajab dahshat-zada lamha mere hisse mein aaya hai
'tabassum' hath mein jugnu liye dar-dar bhatakti hun
ki ghayal raat ka nauha mere hisse mein aaya hai


93785 viewsghazalEnglish