lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota hamare daur mein aansu zaban nahin hota jahan rahega wahin raushni lutaega kisi charagh ka apna makan nahin hota ye kis maqam pe lai hai meri tanhai ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota bas ek nigah meri rah dekhti hoti ye sara shahr mera mezban nahin hota tera khayal na hota to kaun samjhata zamin na ho to koi aasman nahin hota main us ko bhul gaya hun ye kaun manega kisi charagh ke bas mein dhuan nahin hota 'wasim' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko wo lafz hun jo kabhi dastan nahin hota