lai na saba bu-e-chaman ab ke baras bhi

By azeem-murtazaOctober 27, 2020
lai na saba bu-e-chaman ab ke baras bhi
kuchh soch ke khamosh hain yaran-e-qafas bhi
dastur-e-mohabbat hi nahin jaan se guzarna
kar lete hain ye kaam kabhi ahl-e-hawas bhi


nazuk hain marahil safar-e-manzil-e-gham ke
is rah mein kho jati hai aawaz-e-jaras bhi
aazad bhi ho jaenge aakhir tere qaidi
ek roz bikhar jaegi zanjir-e-nafas bhi


angusht-numa shaikh-o-barahman ke chalan par
masjid ke manare bhi hain mandir ke kalas bhi
diwana abhi tak hai usi dushman-e-jaan ka
aata hai dil-e-zar pe ghussa bhi taras bhi


kuchh aap ka gham kuchh gham-e-jaan kuchh gham-e-duniya
daman mein mere phul bhi hain khar bhi khas bhi
chup rah ke bhi mumkin na raha dard chhupana
ek shoala-e-awaz hai ab mauj-e-nafas bhi


62282 viewsghazalEnglish