lakh chaha ruk na paya KHwahishon ka silsila
By baharunnisa-baharOctober 8, 2023
lakh chaha ruk na paya khwahishon ka silsila
na-tawan dil ne uthaya aansuon ka silsila
kaise khwahish main karun parwaz ki tu hi bata
dil mein ghut kar rah gaya jab hasraton ka silsila
ghar se ghar ko yun milana kaam to aasan na tha
apne hathon se badhaya nafraton ka silsila
tujh ko dhunda is tarah jaise khuda hai tu mera
rah mein kis ne banaya maqbaron ka silsila
ruh ki gahraiyon mein tu utar kar aa gaya
zehn ki sidhi se aaya qurbaton ka silsila
tujh ko pa lena hi meri manzil-e-maqsud hai
ja-ba-ja kis ne bichhaya pattharon ka silsila
zindagi ke dasht mein aaya na jab aks-e-bahaar
main ne khud ko khud dikhaya wahshaton ka silsila

33474 viewsghazal • English