lakh hans-bol len hum phir bhi gila rahta hai

lakh hans-bol len hum phir bhi gila rahta hai
koi mausam ho magar zakhm hara rahta hai

kuchh tabiat ko hai afsurda-dili se nisbat
aur kuchh ranj bhi ab dil ko siwa rahta hai

ki mere qatl ke baad us ne jafa se tauba
ab mere haq mein wo masruf-e-dua rahta hai

kis tarah khalwat-e-dil mein hua auron ka guzar
log kahte hain ki is ghar mein khuda rahta hai

dhup bhi chahiye pani bhi hawa bhi warna
bij mitti mein daba ho to daba rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close