lakh kahte raho bura hun main
By arshad-rasool-badayuniOctober 27, 2023
lakh kahte raho bura hun main
jaanta hai khuda ki kya hun main
log jannat ki soch rakhte hain
man ke bare mein sochta hun main
pak hai pyar is qadar mera
jism ko chhod kar mila hun main
aaj phir phone aa gaya us ka
phir se sun lun ki be-wafa hun main
jab koi hal nikal nahin sakta
sab tumhein kyon bata raha hun main
kuchh to hai jo chhupa rahe ho tum
dard aankhon se aankta hun main
daur-e-mushkil mein hi sahi 'arshad'
un ko ab yaad aa gaya hun main
jaanta hai khuda ki kya hun main
log jannat ki soch rakhte hain
man ke bare mein sochta hun main
pak hai pyar is qadar mera
jism ko chhod kar mila hun main
aaj phir phone aa gaya us ka
phir se sun lun ki be-wafa hun main
jab koi hal nikal nahin sakta
sab tumhein kyon bata raha hun main
kuchh to hai jo chhupa rahe ho tum
dard aankhon se aankta hun main
daur-e-mushkil mein hi sahi 'arshad'
un ko ab yaad aa gaya hun main
11854 viewsghazal • English