lakh koi chiKHe chillae shor andar kab aata hai

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
lakh koi chikhe chillae shor andar kab aata hai
un ki basti ke naqshe mein apna ghar kab aata hai
jaane kab se jag rahe hain bas itna batla do ab
jis ke khwab dikhate ho tum wo manzar kab aata hai


gumrahi phailane wale roz andhera late hain
roz hidayat dene wala paighambar kab aata hai
us ki aankhen pal do pal hi to chehre se hatti hain
dil ka sara dard simat kar honthon par kab aata hai


wo to ye hi kahenge sara jangal bilkul chain se hai
un ki shakh pe koi parinda khun mein tar kab aata hai
65091 viewsghazalEnglish