lakh samjhaya magar zid pe adi hai ab bhi koi ummid mere pichhe padi hai ab bhi shahr-e-tanhai mein mausam nahin badla karte din bahut chhota yahan raat badi hai ab bhi man lun kaise yahan dariya nahin tha logo dekh lo ret pe ek kashti padi hai ab bhi chhat mein kuchh chhed hain ye raaz batane ke liye dhup khamoshi se kamre mein khadi hai ab bhi waqt ne nam-o-nasab chhin liya hai lekin ghaur se dekh meri nak badi hai ab bhi aasman tu ne chhupa rakkha hai suraj ko kahan kyun kalai mein teri band ghadi hai ab bhi manzilen deti hain aawaz ki jaldi aao ped kahte hain ruko dhup kadi hai ab bhi