lakhon gham chhupae hain ek khushi ke parde mein dard hi ke sae hain har hansi ke parde mein kya yaqin karen yaro apne hon ki begane dushmani hi pate hain dosti ke parde mein ye bhi to haqiqat hai talkh hi sahi lekin maut hi ke sae hain zindagi ke parde mein hasraton ki basti mein hai janaza arman ka kulfaten hi pate hain dil lagi ke parde mein wo jafa ke khugar hain hum wafa ke parwarda ulfaten bhi pate hain barhami ke parde mein apni kam-nasibi ka kya karen gila 'azim' tirgi hi pate hain raushni ke parde mein