lalach kuchh aur do ki faqat did kya karen

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
lalach kuchh aur do ki faqat did kya karen
kapde nae pahan len magar 'id kya karen
hum hain shikar-gah mein aalam-panah ki
aalam-panah aap ki tanqid kya karen


suraj uga ke rakh den qile ki fasil par
har raat ek bayan ki tardid kya karen
saman-e-jaan sameten ki itna nahin hai waqt
aandhi ko dur rahne ki takid kya karen


mere nahin sahi magar achchhe ho sab se tum
apne kahe ki aap hi tardid kya karen
ab zikr mat kar aisi mohabbat ka mere yar
thi hi nahin sire se to tajdid kya karen


kya kya na gul khilae gae dars-gah mein
bu-jahl ke murid se ummid kya karen
76584 viewsghazalEnglish