lamha lamha bikhar raha hun main

By ram-awtar-gupta-muztarNovember 13, 2020
lamha lamha bikhar raha hun main
apni takmil kar raha hun main
khub se khub-tar hai ru-e-hayat
nae singhaar kar raha hun main


khulte jate hain zehn ke auraq
tajrabon se guzar raha hun main
tera hona na man kar goya
tujh ko taslim kar raha hun main


khud se na-ashna sahi lekin
tujh se kab be-khabar raha hun main
mahw aisa hun khud-parasti mein
goya tujh se mukar raha hun main


17821 viewsghazalEnglish