lamha lamha pighal raha hun main

By mast-hafiz-rahmaniFebruary 27, 2024
lamha lamha pighal raha hun main
sham' ki tarh jal raha hun main
apna chehra badal nahin paya
aaina phir badal raha hun main


aap ka kyon udas hai chehra
gir pada tha sanbhal raha hun main
mujh se raushan hain raste sare
aandhiyon tum ko khal raha hun main


aa rahi hai sada-e-zindabaad
sirf karwat badal raha hun main
jis ko sadiyan bhula na paengi
ek aisa bhi pal raha hun main


apne ajdad ki wirasat ko
apne pairon kuchal raha hun main
ye mohabbat khulus hamdardi
sab ke ma'ni badal raha hun main


har taraf nur sa barasta hai
mai-kade se nikal raha hun main
'mast' raushan hai shahrah-e-hayat
jaan-nisar-e-ghazal raha hun main


60335 viewsghazalEnglish