lams aahat ke hawaon ke nishan kuchh bhi nahin khwab hi khwab hai ye shahr yahan kuchh bhi nahin koi guzri hui shamon mein kabhi chamka tha is ghani shab ke andhere mein ayan kuchh bhi nahin chand saat ke sitare hain sar-e-baam tulu din utar jaen to phir ghar ka saman kuchh bhi nahin ek khamoshi hai liye hairat-e-sad-naqsh-o-nigar warna badle hue mausam ki zaban kuchh bhi nahin aasman aaj teri chhanw mein aa baithi main ab mere sar pe tera koh-e-giran kuchh bhi nahin