lat uTTha hath uTTha juta uTha my dear
By wahid-ansari-burhanpurApril 24, 2024
lat uttha hath uttha juta utha my dear
apne sine se magar mujh ko laga my dear
ek cup chae bana zahr mila my dear
sabr ka ghunt na is tarah pila my dear
is nae daur mein farsuda riwayat pe na ja
shadi se pahle honeymoon mana my dear
jab bhi chahun tere father ki ghuma dun chabi
apni mummy ko magar tu bhi pata my dear
baat manwani hai arbab-e-hukumat se agar
nit-nae dhong racha dhum macha my dear
mil hi jaegi ghazal tujh ko koi ek nahin
apne ustad ko par chae pila my dear
apni damadi ka bakhshenge sharaf abba tere
gar nahin tujh ko yaqin shart laga my dear
'ishq ka aaj uttha dekh janaza 'wahid'
jhute tiswe hi sahi kuchh to baha my dear

46729 viewsghazal • English