lau badha jati hai zakhmon ki saba sham ke baad jagmagate hain charaghan-e-wafa sham ke baad aag chhidki gai jalti hui tanhai par sarsarai teri zulfon ki hawa sham ke baad dil ke jalte hue shahron se pare dur kahin teri lai mein tha koi naghma-sara sham ke baad din ke hangamon ki har chot jawan hoti hai phir sanbhalti hai meri laghzish-e-pa sham ke baad subh jagi to mahakne lage zakhmon ke gulab gham ki palkon pe jali dil ki chita sham ke baad zehn khwabon ki salibon pe latakta hi raha jhanjhanati rahi zanjir-e-jafa sham ke baad ye dakan ye lab-e-musa ye sanam-zar 'kalim' umr-e-rafta mujhe deti hai sada sham ke baad