lau de rahe hain aaj dil-e-dagh-dagh bhi

By siddiq-fatahpuriFebruary 6, 2022
lau de rahe hain aaj dil-e-dagh-dagh bhi
raushan hue hain fikr-o-nazar ke charagh bhi
un ka mizaj auj-e-surayya pe hai agar
hai haft-asman pe hamara dimagh bhi


rakhte kahin qadam hain to padte kahin hain aur
sahba-e-be-khudi se hain chhilke ayagh bhi
mausam badal gaya hai saba khush-khiram hai
gul-ha-e-rang-rang se mahke hain bagh bhi


gham-hae-be-panah ke ba-wasf dosto
fart-e-khushi se aaj hai dil bagh bagh bhi
guzra hai raste se koi gul-badan zarur
khushbu ka ab to milne laga hai suragh bhi


fitrat juda juda hai tabiat juda juda
rangat mein yun to ek hai koyal bhi zagh bhi
chehre ke khadd-o-khal bhi wazeh na kar sake
uljha hua hai zor-e-qalam ka balagh bhi


sahra ko dekh kar hua 'siddiq' ye guman
hasil hua ab ahl-e-junun ko faragh bhi
21188 viewsghazalEnglish