lau jo ghar ka diya nahin deta

By rizwan-aliFebruary 28, 2024
lau jo ghar ka diya nahin deta
sham'-e-dil kyon jala nahin deta
mangne ka agar saliqa ho
mangne se wo kya nahin deta


tuta dil aur tut jata hai
dost jab hausla nahin deta
jaanta hai wafa ke jo ma'ni
dost ban ke dagha nahin deta


bhid ko chir kar nikalta hun
jab koi rasta nahin deta
jo kabhi bewafa ne likkhe the
to wo khat kyon jala nahin deta


ab mera dil bhi kis liye 'rizwan'
shab-e-gham mein ziya nahin deta
98550 viewsghazalEnglish