lauh-e-mazar dekh ke ji dang rah gaya

lauh-e-mazar dekh ke ji dang rah gaya
har ek sar ke sath faqat sang rah gaya

badnam ho ke ishq mein hum surkh-ru hue
achchha hua ki nam gaya nang rah gaya

hoti na hum ko saya-e-diwar ki talash
lekin muhit-e-zist bahut tang rah gaya

sirat na ho to aariz-o-rukhsar sab ghalat
khushbu udi to phul faqat rang rah gaya

apne gale mein apni hi banhon ko daliye
jine ka ab to ek yahi dhang rah gaya

kitne hi inqalab shikan-dar-shikan mile
aaj apni shakl dekh ke main dang rah gaya

takhil ki hadon ka tayyun na ho saka
lekin muhit-e-zist bahut tang rah gaya

kal kaenat-e-fikr se aazad ho gai
insan misal-e-dast-e-tah-e-sang rah gaya

hum un ki bazm-e-naz mein yun chup hue 'zahir'
jis tarah ghut ke saz mein aahang rah gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close