le le ke nam us ne hamara ki hae hae kis kis tarah se hum ko pukara ki hae hae kal gas par tha aaj bhapare pe hun miyan nazle ne aisa gher ke mara ki hae hae yunhi chhua tha us ki kalai ko ek bar wo hath us ne khinch ke mara ki hae hae ye khurduri si jins ki wo bhi tha ek libas shalwar reshmi wo gharara ki hae hae kya kya nahin tha apni tawazo mein un ke ghar chhole matar wo aalu-bukhara ki hae hae aate hain yaad mujh ko wo aazadiyon ke din hota tha main bhi ek kunwara ki hae hae wo lutf wo maza ki jo aaya na laut kar 'masrur' zindagi mein dobara ki hae hae