lifafe mein ek kora kaghaz paDa hua tha

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
lifafe mein ek kora kaghaz pada hua tha
samajh gaya tha main jo kuchh us mein likha hua tha
us ek din se abhi talak main khafa hun khud se
bas ek din ke liye wo mujh se khafa hua tha


bana diya mujh ko dewta us ki aazari ne
main ek patthar tha raste mein pada hua tha
talash mujh ko andhere mein kar rahi thi duniya
nazar na aaya main raushni mein chhupa hua tha


sata raha hai gham-e-judai se badh ke ye gham
dam-e-judai wo muskura kar juda hua tha
'kamal' mere kamal-e-fan ki to dad dije
main andar andar tha tuta bahar juda hua tha


23465 viewsghazalEnglish