likh ke tahrir mohabbat ki miTai usne
By shamim-danishFebruary 29, 2024
likh ke tahrir mohabbat ki mitai us ne
hae kis dil se chhuri dil pe chalai us ne
khub-surat meri aankhon ka ye dhoka hi sahi
meri taswir to sine se lagai us ne
wo jo ab taq pe khamosh diya rakkha hai
raat-bhar ki hai andheron se ladai us ne
chand lamhe hi sahi chashm-e-'inayat se magar
donon 'alam ki mujhe sair karai us ne
kar ke be-laus mohabbat se kinara meri
kya 'azizo mere pai hai khudai us ne
'umr-bhar ki main saza katne wala tha magar
jaane kya soch ke de di hai rihai us ne
jis ko dekho wahi diwana bana phirta hai
aisi taswir hai dp mein lagai us ne
haar to meri usi waqt hui ai 'danish'
kar liya apni taraf jab mera bhai us ne

81859 viewsghazal • English