likha tha nam jo ek sham kore kaghaz par

By sabeensaifFebruary 28, 2024
likha tha nam jo ek sham kore kaghaz par
wo nam kyon hua badnam kore kaghaz par
kiye gae the jo ta'mir sang-e-marmar se
bikhar gae wo dar-o-baam kore kaghaz par


gawahi deta hai aswad bhi jis ke daman ki
kiya gaya use badnam kore kaghaz par
bana tha rishta falak par jo kun ke ba'd kabhi
bura hai us ka hi anjam kore kaghaz par


maza to jab hai ki ehsas us talak pahunche
likhun main kyon use paigham kore kaghaz par
jo apne mansab-e-‘ali ke sath aaenge
likhe gae wo bade nam kore kaghaz par


wo jis ki aas pe guzra tamam din mera
sisak ke rah gai wo sham kore kaghaz par
bana raha tha wo taswir jis ghadi meri
chhalak ke rah gae do jam kore kaghaz par


gunahgar-e-mohabbat likha gaya mujh ko
diya gaya mujhe in'am kore kaghaz par
65148 viewsghazalEnglish