likhte likhte hath shal ho jaenge

By mast-hafiz-rahmaniFebruary 27, 2024
likhte likhte hath shal ho jaenge
dastan ek hum bhi kal ho jaenge
shakh par khilne to de in ko saba
ek din ye phul phal ho jaenge


koi ho apna badal mumkin nahin
aap hum apna badal ho jaenge
aag ke dariya se guzrenge agar
sho'le sare jal hi jal ho jaenge


jab sunenge log marne ki khabar
gham-zada ahl-e-ghazal ho jaenge
harf yak-jehti pe aaega agar
sar-ba-kaf ahl-e-ghazal ho jaenge


43842 viewsghazalEnglish