likhti hun sab hikayaten dil ki

By sumaira-khalidFebruary 29, 2024
likhti hun sab hikayaten dil ki
khatm kab hon shikayaten dil ki
dan mein mujh ko gham ke sikke mile
thin kuchh aisi 'inayaten dil ki


chehre se mit gai shikan lekin
mit na pain ‘adawaten dil ki
na rihai mili na shunwai
kaisi zalim ‘adalaten dil ki


koi aisa 'alim-e-haal bhi ho
bujh le jo bujhaaraten dil ki
aisi tasir ho zaban mein meri
rang laen sifaraten dil ki


har ghadi us ke dhyan mein gum hun
sunti hun kab bashaaraten dil ki
zo'm tha jin ko ru-shanasi ka
padh na pae ‘ibaraten dil ki


tere aane se ab ho kya hasil
dah gain jab 'imaraten dil ki
ho chuki thin fasilen bosida
sah to letin qayamaten dil ki


ek ishaare pe bhula hadd-e-adab
allah allah jasaraten dil ki
ek dil tha so wo bhi phunk diya
kaun karta kifayaten dil ki


huzn-e-yusuf mein kho gain aankhen
kaam aain basaraten dil ki
17093 viewsghazalEnglish