likkhi hai kya hawaon pe tahrir dekhiye kya kah raha hai katib-e-taqdir dekhiye shahr-e-wafa mein ahl-e-hunar ahl-e-ilm ki kitni badhi hai izzat-o-tauqir dekhiye khandaraat dhundte hain banate nahin mahal ahl-e-hunar ka jazba-e-tamir dekhiye lashe gali gali mein hain ujda hua hai ghar azmat-nishan shahr ki taswir dekhiye tair lahu-luhan hai khwab-o-khayal ka ye hai hamare khwab ki tabir dekhiye ghar ghar mein raushni si rahi aql-o-fahm ki pahunchi kahan nahin hai ye tanwir dekhiye rahbar ke naqsh-e-pa pe badhate nahin qadam khaif hain kitne rah se rahgir dekhiye jari hai raqs ab bhi yahan khak-o-khun ka tuta kahan hai halqa-e-zanjir dekhiye suljha sakenge aap na 'siddiq' umr bhar uljhi hai aisi zulf-e-girah-gir dekhiye