lipaT lipaT ke main us gul ke sath sota tha

By nazeer-akbarabadiNovember 11, 2020
lipat lipat ke main us gul ke sath sota tha
raqib subh ko munh aansuon se dhota tha
tamam raat thi aur kuhniyan o laten thin
na sone deta tha mujh ko na aap sota tha


jo baat hijr ki aati to apne daman se
wo aansu ponchhta jata tha aur main rota tha
masakti choli to logon se chhup ke sine ko
wo tage batta tha aur main sui pirota tha


gharaz dikhane ko aan o ada ke sau aalam
wo mujh se panw dhulata tha aur main dhota tha
lita ke sine pe chanchal ko pyar se har-dam
main gudgudata tha hans hans wo zoaf khota tha


wo mujh pe phenkta pani ki kulliyan bhar bhar
main us ke chhinton se to pairahan bhigota tha
nahane jate to phir aah karti chhinton se
wo ghote deta tha aur main use dubota tha


hua na mujh ko khumar aakhir un sharabon ka
'nazir' aah isi roz ko main rota tha
77895 viewsghazalEnglish