lo Dub gaya farsh-e-‘aza dida-e-nam se

By azwar-shiraziFebruary 26, 2024
lo dub gaya farsh-e-‘aza dida-e-nam se
ab koi na girye ka taqaza kare hum se
khatka hai ki sailab-e-junun-khez ke hathon
gir jae kahin jism ki diwar na dham se


shah ko mere inkar se ma'lum hua hai
har ek ko kharida nahin ja sakta raqam se
hum log bhi kya sada hain taskin ki khatir
ummid laga lete hain patthar ke sanam se


afsos ki maqtal mein tah-e-tegh-o-tabar hai
man-bap ne pala tha jise naz-o-ni’am se
mat puchh ki andar se hain kis darja shikasta
jo log bazahir nazar aate hain baham se


ab aa ke mujhe ranj ki rahat hui hasil
pahle main samajhta tha ki mar jaunga gham se
mujh-dil ko faqat qarya-e-barbaad na samjho
ek waqt ye sarsabz 'ilaqa tha qasam se


47384 viewsghazalEnglish