log apni taswiren waqt se chhupate hain

By sarvat-zaidi-bhopaliFebruary 2, 2022
log apni taswiren waqt se chhupate hain
aks to haqiqat ke aaine dikhate hain
khushbuon mein phulon ki ahl-e-dil nahate hain
ban-sanwar ke mahfil mein aap jab bhi aate hain


zindagi ki rahon mein phul muskuraate hain
log sinf-e-nazuk se qurbaten badhate hain
kaise bhul jaun main dhundli dhundli yaadon ko
ye khayal to meri himmaten badhate hain


kya hasin rishta tha chandni ka aangan se
aaj bhi nigahon mein khwab jagmagate hain
sham se nikalte hain raat ka safar le kar
intizar ke suraj subh dub jate hain


kab mizaj badlega zindagi ke mausam ka
phul se badan wale hum se khar khate hain
raat bhig jati hai jugnuon ki barish se
jhutpute mein wo aksar git gungunate hain


shakl kab badal jae dar hai is liye 'sarwat'
ghar pe log namon ki takhtiyan lagate hain
34668 viewsghazalEnglish