log is dasht mein maruf hue kam-kam se
By tasnim-abbas-quraishiMarch 1, 2024
log is dasht mein maruf hue kam-kam se
raunaq-e-bazm-e-jahan hum se hai aur bas hum se
honge angusht-ba-dandan sabhi gham ke mare
aise kar lunga kashid aaj khushi is gham se
is ghazal mein na koi misra' hai juz misra’-e-tar
aur har misra’-e-tar uttha hai dil ke nam se
hum pilaenge to dam todegi ye tishna-labi
koi sairab na hoga yahan jam-e-jam se
naib-e-khaliq-e-kul hun main zamin par 'tasnim'
gardish-e-waqt musalsal hai mere hi dam se

62129 viewsghazal • English