log pi jaen jahan dida-e-tar ki baaten kaun sunta hai wahan zakhm-e-jigar ki baaten is qadar aam huin ahl-e-nazar ki baaten dastan ban ke rahin apne hi ghar ki baaten kab se gardish mein hai zarraat-e-zamin ki taqdir aap karte hain sitaron ke safar ki baaten kya qayamat hai ki is bagh-e-jahan mein hum ne ghuncha-o-gul se sunin barq-o-sharar ki baaten bazm-e-hasti hai ki ye shahr-e-khamoshan yaro gul khilatin hi nahin ahl-e-hunar ki baaten 'dard' malum hai anjam-e-shab-e-gham lekin dil ke bahlane ko karte hain sahar ki baaten